Raat Ka Nasha

Category:

Description

Movie –Asoka

Raat ka nasha abhi
Aankh se gaya nahin
Tera nashila badan
Baahon ne chhoda nahin
Aankhen to kholi magar
Sapna woh toda nahin
Haan wohi woh wohi
Saason pe rakha
Hua tere hoton ka
Sapna abhi hai wahi
Raat ka nasha abhi
Aankh se gaya nahin

Tere bina bhi kabhi
Tujhse machal leti hoon
Karvat badalti hoon to
Sapna badal leti hoon
Tera khayal aaye to
Balkhake pal jaata hai
Paani ke chaadar tale
Dum mera jal jaata hai
Haan wohi woh wohi
Saason pe rakha
Hua tere hoton ka
Sapna abhi hai wahi
Raat ka nasha abhi
Aankh se gaya nahin

Tere gale milne ke
Mausam bade hote hain
Janmon ka vaada koi
Yeh gham bade chhote hain
Lambi si ek raat ho
Lamba sa ek din mile
Bas itna sa jeena ho
Milan ki ghadi jab mile
Haan wohi bas wohi
Saason pe rakha
Hua tere hoton ka
Sapna abhi hai wahi
Raat ka nasha abhi
Aankh se gaya nahin.

Popular Bollywood Songs