Woh Subah Kabhi to Aayegi

Category:

Description

Movie –Phir Subah Hogi

Woh subah kabhi toh aayegi
Woh subah kabhi toh aayegi
In kaali sadiyo ke sar se jab
Raat kaa aanchal dhalakega

Jab dukh ke badal pighalenge
Jab sukh ka sagar chhalkega
Jab ambar jhum ke naachega
Jab dharati nagame gaaegi
Woh subah kabhi toh aayegi
Woh subah kabhi toh aayegi

Jis subah ki khatir jug jug se
Hum sab mar mar ke jite hai
Jis subah ke amrit ki dhun me
Hum zahar ke pyaale pite hai
In bhukhi pyaasi ruho par
Ek din to karam faramaayegi
Woh subah kabhi toh aayegi
Woh subah kabhi toh aayegi

Maana ke abhi tere mere
Armano ki kimat kuchh bhi nahi
Mitti ka bhi hai kuchh mol magar
Insano ki kimat kuchh bhi nahi
Insano ki izzat jab jhuthe
Sikko me naa toli jaayegi

Woh subah kabhi toh aayegi
Woh subah kabhi toh aayegi
Woh subah kabhi toh aayegi
Woh subah kabhi toh aayegi.

Popular Bollywood Songs

https://youtu.be/wiSDgIa-zLo